inDrive ke saath
mehfooz mehsoos karein

inDrive k saath ap ki tamaam rides insured hain.
inDrive apne customers k liye laya hai ek jadeed Life and Health Protection
Like
Ye plan ghair mutwaqa halaat mai coverage faraham karta hai jis mai hadsati maut aur accident ki waje se mustaqil mukamal mazoori , accident ki soorat mai tibbi akhrajaat ki adaigi , tadfeen k akhrajaat ki coverage, aur hadse se wabasta ambulance k akhrajaat bhi shamil hain.
Like
Iske ilawa, is plan mai telehealth mashwaray bhi shamil hain. Ye mukamal insurance na sirf musafiron ki falah o behbood ko yaqeeni banati hai balkeh unki hifazat ko barhane k liye, loyalty coverage par bhi zor deti hai.
Like
Khusoosiyat
  • Accident ki soorat mai tibbi akhrajaat ki adaigi
  • Agar ambulance par koi kharcha aya ho tau musafir k liye us k akhrajaat ki adaigi
  • Hadsati maut ki soorat mai musafir k ahl e khana ko ek sath raqam ada ki jati hai
  • Tadfeen k akhrajaat k liye naqad
  • Kisi hadsay ki wajah se mustaqil taur par mukamal mazoori ki soorat mai mutasara shaks ko ek sath raqam milegi
  • Tibbi akhrajaat k liye hospital mai admit hone ki koi shart nahi hai
  • Beshumar naqd  fawaid
  • Sada aur samajhne mai asaan coverage
  • Tez aur bila khalal , digital claims ki processing
Fawaid
Raqm PKR main
Hadsati Maut k moqe par Fawaid
1,000,000
Mustaqil Mukamal Mazoori k moqe par Fawaid
1,000,000
Tibbi Kharchon k Fawaid
100,000
Tadfeen k Kharchon k Fawaid
100,000
Ambulance k Akhrajaat k Fawaid
30,000
Har ride pe aik Telehealth mashwara
Shara'it aur Zawabit
Like
Customers k liye insurance ki muddat ride k  duraniye tak hai
Like
Hospitalization k 24 ghante k baad Daily Hospitalization fawaid shurow honge jo aglay 30 din tak jari rahainge
Like
Har koi jo ride leta hai usko 1 Telehealth Mashwara hasil karne ka moqa milega. Jaise jaise rides ki tadaad barhti hai to Telehealth Mashwaray bhi barh jatay hain
Like
Har umer k log ehal hain
Kharij Nukaat
Aisi sharait jin mai koi dawa qabil-e-adaigi nahi hai
Like
Khudkushi, khudkushi ki koshish, dehshatgardi, khud sakhta zakhm, aur kisi rukun ka ghair qanooni amal
Like
Musalah ya neem fauji daston mai khidmat anjaam dete hue mashqon ya operations mai hisa lete waqt ya kisi bhi kisam ki police duty anjaam dete hue.
Amooman pooche jane wale sawalaat

Kia ye qudrati maut k moqe par bhi coverage faraham karta hai?

Nahi, ye plan sirf hadsati maut k liye coverage faraham karta hai

Claim ka tareeqa kaar kya hai?

Claim k liye, EFU Life Assurance Ltd ko UAN 042-111-333-033 par call karen ya email karen Support@mhealth.efulife.com par ya daak ke zariye Claims Department, EFU Life House Plot No 112 8th East Street, DHA Phase 1 Karachi.

Is plan ki coverage mai kon shamil hai? Customer ya Driver?

Customer aur Driver, dono is plan ki coverage mai shamil hain.

Musafir k liye coverage kub shuroo hoti hai?

Jaise hi musafir sawari mai bethta hai aur ride start hoti hai aur jub tak safar mukamal hota hai tab tak coverage rehti hai.

Driver k liye coverage kub shuroo hoti hai?

Jaise hi woh din ki pehli ride shuroo karte hain, unki us din ki coverage shuroo hojati hai

Agar customer ko hospital mai dakhil nahi kia jata tau kia usko tibbi kharchon ki adaigi milegi?

Sirf hadsati tibbi kharchon ki soorat mein, customer apne tibbi kharchon ki slips dikha kar adaigi hasil kar sakta hai; usko is adaigi k liye hospital mein dakhil hone ki zarurat nahi hogi

Humain kitne Tele-Health mashwaray mil sakte hain?

Ap jitni rides puri karte hain, utne Telehealth mashwaray k sessions se faida utha sakte hain. Har ride par apko ek session ki ijazat milti hai

Kin sharait par claim ada nahi hoga?

1. Khudkushi aur khudkushi ki koshish, khud sakhta zakhm, aur customer ka ghair qanooni amal
2. Musalah ya neem fauji daston mai khidmat anjaam dete hue mashqon ya operations mai hisa lete waqt ya kisi bhi kisam ki police duty anjaam dete hue.